Tuesday, 13 November 2012

Will love- jab tak hai jaan!!

When the masters of romance come together one can expect nothing short of true love. Anyone who has ever touched or seen or felt love can easily identify with the intensity of emotions showcased. Moving like a poetry, the story of love and loss, of pain and hope flowed. Love that can be pure and selfless, yet full of darkness and heartache. Love that is faith yet despair. Love that is beautiful yet scarring. Love that gives life yet prefers death. A true romance. A well made movie indeed.

Ability to love

It seems strange when something I believed in came up in front of me from the most unexpected source. An innocent discussion on the definition of love raised the issue about self love. Loving oneself does not mean being selfish or self centered. It just means that the vessel is so full that it is brimming over. The only person deserving our love is we ourself. If we cannot love ourselves then whom can we love. The only love that can be complete and pure and without any selfish reason is the love for our own selves. To love others we need to love to love ourselves first. Otherwise, everything else is incomplete, just a mirage.

Wednesday, 7 November 2012


Main koi begana nahi, anjana nahi

Par mere apno ne mujhe pehchana nahi

Main musafir hoon teri galiyon ka

Haqeeqat hoon koi afsana nahi

Tu noor hai, haya hai, adaa hai

Main aise hi tera deewaana nahi

Sajde kiye hain tere darr ke

Par tune mujhe kabhi sambhaala nahi

Tuesday, 6 November 2012

Kal shab hum phir tere intezaar mein bathe
Kal shab bhi phir chiraag sang chand pighal gaya
Kal shab phir sajaye humne do jaam mai ke
Kal shab phir bin chuye paymana chalak gaya
Unko na aana tha woh na aaye lekin
Kal shab phir kiske rukh se ghoonghat dhalak gaya
Kal shab phir dil ki dhadkano ne dastak di
Kal shab phir koi saaya aake guzar gaya
Na jaane aur kya hua maloom nahi
Kal shab hosh na aaya, bas dum nikal gaya

Sunday, 4 November 2012

Tere jaane se mere dil mein kuch ajab si uljhan hai
Na aarzoo baqi hai, na hi koi gila hai
Tu hai mera ya nahi, yeh dil jaanta nahi
Par kuch toh hai jo tujhe dil bhulta nahi
Na janmo mein bandha, na palko pe saja
Bas dard se bana aur dard mein raha
Aansoo aur aanhein aur tadap to hai
Mayoosi hai koi ghuli fiza mein
Ab khwabon ke bhi parvaz nahi
Na jaane yeh koi rishta hai bhi ya nahi

Saturday, 3 November 2012

It is you


It is you

You do not know

How much I am hurt

How much in pain

It is you

But you do not know

Why I cry all night

And suffer all day

It is you

But you do not know

What you mean to me

Why I care so much

It is you

But you do not know

That it is you

And only you

Friday, 2 November 2012


Yunhi teri yaad aati hai

Ab bhi dil mein ek tees si lagati hai

Tootte huye sapno ki awaaz

Ab bhi dil ko bechain kar jaati hai

Dard mein dooba hua who rishta

Yaad jiski har pal tadpati hai

Tujhse duur reh kar yahan

Zindagi se badh maut bha jaati hai

Kaise tumhe bataye tum bin

Kitni kali ghata cha jaati hai

Oss ki maddhim boondein bhi

Kis tarah se aag lagati hain

Na tu samjha, na samjhega

Yeh raat kaise darati hai

Kabhi aansoo ban kar behti hai

Kabhi aahein ban kar ke aati hai