Sunday 4 November 2012

Tere jaane se mere dil mein kuch ajab si uljhan hai
Na aarzoo baqi hai, na hi koi gila hai
Tu hai mera ya nahi, yeh dil jaanta nahi
Par kuch toh hai jo tujhe dil bhulta nahi
Na janmo mein bandha, na palko pe saja
Bas dard se bana aur dard mein raha
Aansoo aur aanhein aur tadap to hai
Mayoosi hai koi ghuli fiza mein
Ab khwabon ke bhi parvaz nahi
Na jaane yeh koi rishta hai bhi ya nahi

No comments:

Post a Comment