Thursday, 18 October 2012


Teri zulfon ke ghane saaye mein, jo main aa jaao toh chain aa jaaye

Teri aankhon ke aaine mein, jo sama jaao toh chain aa jaaye

Sham ne dhalte huye bola, chand ne rukh ko jo zara khola

Tere chehre ki shabahat ki main, ik jhalak paao toh chain aa jaaye

Bolti hai teri aankhon ki jhalak, koi phirta hai pyaasa yahan

Ik khatra jo mile is mai ka, doob jaao toh chain aa jaaye

Subah ke rang bhi khoye hain kahin, khushbu phir phool se khafa huyi

Jhilmilaata tera saaya jo pade, ghash mein aa jaao toh chain aa jaaye

Teri baahon ki mehek hai baaqi, dil mein thodi si kasak hai baaqi

Dum bhi nikle jo tere dar pe mera, tujhko dekhu toh chain aa jaaye

 

No comments:

Post a Comment